sath dene ka dilaya tha bharosa tu ne
saath dene kā dilāyā thā bharosa tū ne
aur phir chhoḌ diyā mujh ko akelā tū ne
apnī marzī se mujhe chhoḌ ke jaane vaale
merī marzī ko kahāñ chhoḌ diyā thā tū ne
haa.e afsos tujhe ab bhī ye mā'lūm nahīñ
zindagī merī banā dī hai tamāsha tū ne
jaise-taise maiñ binā ro.e chalī jaatī magar
kis liye dekh liyā muḌ ke dubāra tū ne
baat ruḳhsār kī hotī to koī baat na thī
aaj to ruuh pe maarā hai tamāñcha tū ne
sath dene ka dilaya tha bharosa tu ne
aur phir chhoD diya mujh ko akela tu ne
apni marzi se mujhe chhoD ke jaane wale
meri marzi ko kahan chhoD diya tha tu ne
hae afsos tujhe ab bhi ye ma'lum nahin
zindagi meri bana di hai tamasha tu ne
jaise-taise main bina roe chali jati magar
kis liye dekh liya muD ke dubara tu ne
baat ruKHsar ki hoti to koi baat na thi
aaj to ruh pe mara hai tamancha tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.