sath rah kar bhi koi sath kahan deta hai
saath rah kar bhī koī saath kahāñ detā hai
mujh ko paiġhām 'ajab āb-e-ravāñ detā hai
ek vo shahr ki majnūñ bhī jise khaltā thā
ek ye shahr ki jo sab ko amaañ detā hai
ḳhāksārī pe mirī kyā mujhe shak ho ki yahāñ
dil sā patthar bhī mire haq meñ bayāñ detā hai
shahr-e-ā.inda se jā jā ke palaT aatā huuñ
mujh ko āvāz jahān-e-guzarāñ detā hai
chalte chalte jo kabhī dasht meñ thak jaatā huuñ
ik tasallī sī mujhe abr-e-ravāñ detā hai
sath rah kar bhi koi sath kahan deta hai
mujh ko paigham 'ajab aab-e-rawan deta hai
ek wo shahr ki majnun bhi jise khalta tha
ek ye shahr ki jo sab ko aman deta hai
KHaksari pe meri kya mujhe shak ho ki yahan
dil sa patthar bhi mere haq mein bayan deta hai
shahr-e-ainda se ja ja ke palaT aata hun
mujh ko aawaz jahan-e-guzaran deta hai
chalte chalte jo kabhi dasht mein thak jata hun
ek tasalli si mujhe abr-e-rawan deta hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 59)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.