Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sath rahte itni muddat ho gai

Hafeez Jaunpuri

sath rahte itni muddat ho gai

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    saath rahte itnī muddat ho ga.ī

    dard ko dil se mohabbat ho ga.ī

    kyā javānī jald ruḳhsat ho ga.ī

    ik chhalāvā thī ki champat ho ga.ī

    dil gāhak achchhī sūrat ho ga.ī

    aañkh milte mohabbat ho ga.ī

    fātiha paḌhne vo aa.e aaj kyā

    Thokaroñ nazr turbat ho ga.ī

    laakh bīmārī hai ik parhez-e-mai

    jaan jokhoñ tark-e-ādat ho ga.ī

    tafraqa Daalā falak ne bār-hā

    do diloñ meñ jab mohabbat ho ga.ī

    vo gila sun kar hue yuuñ munfa.il

    aa.ed apne sar shikāyat ho ga.ī

    dostī kyā us talavvun-tabā

    chaar din sāhab salāmat ho ga.ī

    vaah re aalam kamāl-e-ishq

    merī un ek sūrat ho ga.ī

    un ke jaate huī kaayā palaT

    ḳham masarrat yaas hasrat ho ga.ī

    ke yuuñ tum kab bahakte the 'hafīz'

    raat kyā be-lutf sohbat ho ga.ī

    sath rahte itni muddat ho gai

    dard ko dil se mohabbat ho gai

    kya jawani jald ruKHsat ho gai

    ek chhalawa thi ki champat ho gai

    dil ki gahak achchhi surat ho gai

    aankh milte hi mohabbat ho gai

    fatiha paDhne wo aae aaj kya

    Thokaron ki nazr turbat ho gai

    lakh bimari hai ek parhez-e-mai

    jaan jokhon tark-e-adat ho gai

    tafraqa Dala falak ne bar-ha

    do dilon mein jab mohabbat ho gai

    wo gila sun kar hue yun munfail

    aaed apne sar shikayat ho gai

    dosti kya us talawwun-taba ki

    chaar din sahab salamat ho gai

    wah re aalam kamal-e-ishq ka

    meri un ki ek surat ho gai

    un ke jate hi hui kaya palaT

    KHam masarrat yas hasrat ho gai

    pi ke yun tum kab bahakte the 'hafiz'

    raat kya be-lutf sohbat ho gai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    sath rahte itni muddat ho gai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now