sath tera hua agar mahsus
saath terā huā agar mahsūs
mujh ko hogā na ye safar mahsūs
husn-e-jānāñ kā zikr ho to ziist
hone lagtī hai muḳhtasar mahsūs
hai gul-e-sar-sabad ruḳh-e-anvar
lamha lamha ho tāza-tar mahsūs
kar rahe haiñ firāq ko donoñ
vo udhar aur ham idhar mahsūs
hijr kā dukh na ho to kyūñkar ho
lazzat-e-vasl is qadar mahsūs
hai vo nā-vāqif-e-junūñ jo kare
dasht ko dasht ghar ko ghar mahsūs
raushnī kyā karegā duniyā meñ
ho añdheroñ se jis ko Dar mahsūs
apne dil ko TaTol kar dekho
aañkh kartī nahīñ agar mahsūs
apne hī ḳhvāb meñ na rah 'anjum'
'ahd ke dard ko bhī kar mahsūs
sath tera hua agar mahsus
mujh ko hoga na ye safar mahsus
husn-e-jaanan ka zikr ho to zist
hone lagti hai muKHtasar mahsus
hai gul-e-sar-sabad ruKH-e-anwar
lamha lamha ho taza-tar mahsus
kar rahe hain firaq ko donon
wo udhar aur hum idhar mahsus
hijr ka dukh na ho to kyunkar ho
lazzat-e-wasl is qadar mahsus
hai wo na-waqif-e-junun jo kare
dasht ko dasht ghar ko ghar mahsus
raushni kya karega duniya mein
ho andheron se jis ko Dar mahsus
apne dil ko TaTol kar dekho
aankh karti nahin agar mahsus
apne hi KHwab mein na rah 'anjum'
'ahd ke dard ko bhi kar mahsus
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.