Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sath wahshat ho to purwai kahan se aae

Ahmed Arsalan

sath wahshat ho to purwai kahan se aae

Ahmed Arsalan

MORE BYAhmed Arsalan

    saath vahshat ho to purvā.ī kahāñ se aa.e

    rut ḳhizāñ ho to ra.anā.ī kahāñ se aa.e

    ne dekhe nahīñ ishq meñ pech-o-ḳham jab

    phir tire sheroñ meñ gahrā.ī kahāñ se aa.e

    jis ke hoñToñ pe sadā jhuuT rahā kartā hai

    us ke kirdār meñ sachchā.ī kahāñ se aa.e

    mere har zaḳhm gahrā.ī samajhne vaale

    sochtā huuñ ki masīhā.ī kahāñ se aa.e

    jis makāñ meñ bhī panaptī hai burā.ī logo

    us makāñ meñ bhalā achchhā.ī kahāñ se aa.e

    merī shorīda-mizājī ko parakhne vaale

    pūchhte haiñ ki tamāshā.ī kahāñ se aa.e

    zindagānī alāmat hai sadāqat 'ahmad'

    dil kaalā ho to dānā.ī kahāñ se aa.e

    sath wahshat ho to purwai kahan se aae

    rut KHizan ki ho to ranai kahan se aae

    tu ne dekhe hi nahin ishq mein pech-o-KHam jab

    phir tere sheron mein gahrai kahan se aae

    jis ke honTon pe sada jhuT raha karta hai

    us ke kirdar mein sachchai kahan se aae

    mere har zaKHm ki gahrai samajhne wale

    sochta hun ki masihai kahan se aae

    jis makan mein bhi panapti hai burai logo

    us makan mein bhala achchhai kahan se aae

    meri shorida-mizaji ko parakhne wale

    puchhte hain ki tamashai kahan se aae

    zindagani ki alamat hai sadaqat 'ahmad'

    dil hi kala ho to danai kahan se aae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now