Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sathiyo jo ahd bandha hai use toDa na jae

Mubeen Mirza

sathiyo jo ahd bandha hai use toDa na jae

Mubeen Mirza

MORE BYMubeen Mirza

    sāthiyo jo 'ahd bāñdhā hai use toḌā na jaa.e

    jism meñ jab tak lahū se mā'rka haarā na jaa.e

    'ahd-e-māzī meñ bhī hai koh-e-nidā jaisā tilism

    ye bhī vo āvāz hai muḌ kar jise dekhā na jaa.e

    is qadar raas aa ga.ī haiñ zaat vīrāniyāñ

    ḳhud ye ḳhvāhish ho rahī hai dil sannāTā na jaa.e

    is se aage vāpsī rāsta koī nahīñ

    jo yahāñ se lauTnā chāhe use rokā na jaa.e

    jis se dil vābasta ho be-intihā shiddat ke saath

    bhuul kar bhī us ta'alluq ko kabhī parkhā na jaa.e

    yaad us phir kahīñ barsoñ na aa.e us ke baa'd

    itnā bhar ke bhī aaj us ke liye royā na jaa.e

    mere dukh sukh mere andar zinda haiñ sab tarah

    shahr ke logoñ se mujh ko muḳhtalif samjhā na jaa.e

    sathiyo jo 'ahd bandha hai use toDa na jae

    jism mein jab tak lahu se ma'rka haara na jae

    'ahd-e-mazi mein bhi hai koh-e-nida jaisa tilism

    ye bhi wo aawaz hai muD kar jise dekha na jae

    is qadar ras aa gai hain zat ki viraniyan

    KHud ye KHwahish ho rahi hai dil ka sannaTa na jae

    is se aage wapsi ka rasta koi nahin

    jo yahan se lauTna chahe use roka na jae

    jis se dil wabasta ho be-intiha shiddat ke sath

    bhul kar bhi us ta'alluq ko kabhi parkha na jae

    yaad us ki phir kahin barson na aae us ke ba'd

    itna ji bhar ke bhi aaj us ke liye roya na jae

    mere dukh sukh mere andar zinda hain sab ki tarah

    shahr ke logon se mujh ko muKHtalif samjha na jae

    Source :
    • Book : Tabani (Pg. 37)
    • Author : Mubeen Mirza
    • Publication : Academy Bazyaft (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now