Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saton rang khula nahin pae hum bhi to

Khursheed Afsar Baswani

saton rang khula nahin pae hum bhi to

Khursheed Afsar Baswani

MORE BYKhursheed Afsar Baswani

    sātoñ rañg khulā nahīñ paa.e ham bhī to

    mausam us ke nahīñ paa.e ham bhī to

    Dūbte kaise barf jamī thī dariyā meñ

    sāñsoñ se pighlā nahīñ paa.e ham bhī to

    jis tohmat rakkhī apne buzurgoñ par

    vo dīvār girā nahīñ paa.e ham bhī to

    laḌke ham se pūchh rahe the kaun haiñ aap

    barsoñ ghar tak nahīñ paa.e ham bhī to

    kis muñh se ham us ko samjhāte 'afsar'

    dil bojh uThā nahīñ paa.e ham bhī to

    saton rang khula nahin pae hum bhi to

    mausam us ke la nahin pae hum bhi to

    Dubte kaise barf jami thi dariya mein

    sanson se pighla nahin pae hum bhi to

    jis ki tohmat rakkhi apne buzurgon par

    wo diwar gira nahin pae hum bhi to

    laDke hum se puchh rahe the kaun hain aap

    barson ghar tak ja nahin pae hum bhi to

    kis munh se hum us ko samjhate 'afsar'

    dil ka bojh uTha nahin pae hum bhi to

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 387)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now