Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawan ki bhigi bhigi har ek raat bhi gai

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

sawan ki bhigi bhigi har ek raat bhi gai

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    sāvan bhīgī bhīgī har ik raat bhī ga.ī

    dil meñ lagā ke aag ye barsāt bhī ga.ī

    ye dūriyāñ to apnā muqaddar thiiñ magar

    thoḌī bahut jo thī vo mulāqāt bhī ga.ī

    āñkhoñ meñ kitne ḳhvāb sañjo.e the raat bhar

    armāñ ḳhuun kar ke hasīñ raat bhī ga.ī

    milte bhī haiñ to jaise ta.alluq kuchh na ho

    ab to vo rasm-e-pursish-e-hālāt bhī ga.ī

    ab ai 'nazar' hai hadd-e-nazar tak ġhubār-e-rāh

    vo kārvān-e-zīst bārāt bhī ga.ī

    sawan ki bhigi bhigi har ek raat bhi gai

    dil mein laga ke aag ye barsat bhi gai

    ye duriyan to apna muqaddar hi thin magar

    thoDi bahut jo thi wo mulaqat bhi gai

    aankhon mein kitne KHwab sanjoe the raat bhar

    arman ka KHun kar ke hasin raat bhi gai

    milte bhi hain to jaise talluq hi kuchh na ho

    ab to wo rasm-e-pursish-e-haalat bhi gai

    ab ai 'nazar' hai hadd-e-nazar tak ghubar-e-rah

    wo karwan-e-zist ki baraat bhi gai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now