Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawani rim-jhim bhi hai baad-e-saba hai shairi

Jameel Ahmad Jaisi

sawani rim-jhim bhi hai baad-e-saba hai shairi

Jameel Ahmad Jaisi

MORE BYJameel Ahmad Jaisi

    sāvanī rim-jhim bhī hai bād-e-sabā hai shā'irī

    bāñsurī taan tuutī sadā hai shā'irī

    jugnuoñ dab-dabāhaT chāñd tāroñ chamak

    āsmāñ par kahkashāñ dā.era hai shā'irī

    rang vo qaus-e-quzah ke aur jharnoñ vo sur

    sabz vaadī meñ ġhazāloñ adā hai shā'irī

    barf chādar meñ lipTe kohsār o sabza-zār

    chāñdnī meñ girte jharnoñ sadā hai shā'irī

    phuul ḳhushbū chaman husn bhañvaroñ vo shor

    phūTte chashmoñ se kal kal sadā hai shā'irī

    ye sadā shā'ir ke dil ye muġhannī sadā

    husn andāz 'āshiq vafā hai shā'irī

    shā'irī ko muḳhtasar kar duuñ to bas itnā kahūñ

    hiir hai rāñjhā hai ye 'ishq-o-vafā hai shā'irī

    sawani rim-jhim bhi hai baad-e-saba hai sha'iri

    bansuri ki tan tuti ki sada hai sha'iri

    jugnuon ki dab-dabahaT chand taron ki chamak

    aasman par kahkashan ka daera hai sha'iri

    rang wo qaus-e-quzah ke aur jharnon ka wo sur

    sabz wadi mein ghazalon ki ada hai sha'iri

    barf ki chadar mein lipTe kohsar o sabza-zar

    chandni mein girte jharnon ki sada hai sha'iri

    phul ki KHushbu chaman ka husn bhanwaron ka wo shor

    phuTte chashmon se kal kal ki sada hai sha'iri

    ye sada sha'ir ke dil ki ye mughanni ki sada

    husn ka andaz 'ashiq ki wafa hai sha'iri

    sha'iri ko muKHtasar kar dun to bas itna kahun

    hir hai ranjha hai ye 'ishq-o-wafa hai sha'iri

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now