Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saya hai teri zulf ka ye raat baDi hai

Salik Lakhnavi

saya hai teri zulf ka ye raat baDi hai

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    saaya hai tirī zulf ye raat baḌī hai

    ik jalva-e-ruḳh de ki tirī baat baḌī hai

    ik jalva-e-ruḳh de ki añdherī hai baḌī raat

    kaTne ko to kaT jā.egī go raat baḌī hai

    aañsū ko na dekho ki hai aks-e-dil-e-pur-ḳhūñ

    dāman pe sa.mbhālo ki ye sauġhāt baḌī hai

    vo sher ho ki nāla-o-āh-e-dil-e-mazlūm

    jo baat sar-e-dār hai vo baat baḌī hai

    vo shaah ki bā-halqa-e-asp-o-ruḳh-o-farzīñ

    khā jaa.e agar maat to vo maat baḌī hai

    har jabr pe har zulm par ik sabr-e-jafā-nosh

    ye justujū-e-roz-e-mukāfāt baḌī hai

    kyā dost ki ab muñh bhī lagāte nahīñ dushman

    'sālik' ye samajhtā hai ki auqāt baḌī hai

    saya hai teri zulf ka ye raat baDi hai

    ek jalwa-e-ruKH de ki teri baat baDi hai

    ek jalwa-e-ruKH de ki andheri hai baDi raat

    kaTne ko to kaT jaegi go raat baDi hai

    aansu ko na dekho ki hai aks-e-dil-e-pur-KHun

    daman pe sambhaalo ki ye saughat baDi hai

    wo sher ho ki nala-o-ah-e-dil-e-mazlum

    jo baat sar-e-dar hai wo baat baDi hai

    wo shah ki ba-halqa-e-asp-o-ruKH-o-farzin

    kha jae agar mat to wo mat baDi hai

    har jabr pe har zulm par ek sabr-e-jafa-nosh

    ye justuju-e-roz-e-mukafat baDi hai

    kya dost ki ab munh bhi lagate nahin dushman

    'salik' ye samajhta hai ki auqat baDi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now