Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saya nahin hai dur tak sae mein aaen kis tarah

Qamar Jameel

saya nahin hai dur tak sae mein aaen kis tarah

Qamar Jameel

MORE BYQamar Jameel

    saaya nahīñ hai duur tak saa.e meñ aa.eñ kis tarah

    ham aa ga.e haiñ kis taraf tum ko batā.eñ kis tarah

    ye phuul patte chāñdnī ye sūrateñ man-mohnī

    aise meñ apnī jāñkanī un se chhupā.eñ kis tarah

    'ālam bahārāñ sahī manzar gulistāñ sahī

    bastī bayābāñ sahī dāman bachā.eñ kis tarah

    jis phuul har pankhuḌī hotī hai motī laḌī

    us phuul ḳhātir kabhī aañsū bahā.eñ kis tarah

    saya nahin hai dur tak sae mein aaen kis tarah

    hum aa gae hain kis taraf tum ko bataen kis tarah

    ye phul patte chandni ye suraten man-mohni

    aise mein apni jaankani un se chhupaen kis tarah

    'alam bahaaran ka sahi manzar gulistan ka sahi

    basti bayaban ki sahi daman bachaen kis tarah

    jis phul ki har pankhuDi hoti hai moti ki laDi

    us phul ki KHatir kabhi aansu bahaen kis tarah

    Source:

    khvaab numaa (Pg. 48)

    • Author: qamar jameel
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now