Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saya tha mera aur mere shaidaiyon mein tha

Rashid Aazar

saya tha mera aur mere shaidaiyon mein tha

Rashid Aazar

MORE BYRashid Aazar

    saaya thā merā aur mire shaidā.iyoñ meñ thā

    ik anjuman vo mirī tanhā.iyoñ meñ thā

    chhantī thī shab ko chāñdnī bādal oT se

    paikar is ke aks parchhā.iyoñ meñ thā

    koyal kuuk bhī na javāb is ho sakī

    lahrā tire gale jo shahnā.iyoñ meñ thā

    jis dam mirī imārat-e-dil sho.ala-posh thī

    maiñ ne sunā ki vo bhī tamāshā.iyoñ meñ thā

    uTThā usī se ziist ke ehsās ḳhamīr

    jo dard-e-dil ke zaḳhm pahnā.iyoñ meñ thā

    jab shahr meñ fasād huā to amīr-e-shahr

    dekhā gayā ki aap balvā.i.oñ meñ thā

    behad hasīn thā magar 'āzar' mujhe to bas

    yaad is qadar rahā ki vo harjā.iyoñ meñ thā

    saya tha mera aur mere shaidaiyon mein tha

    ek anjuman sa wo meri tanhaiyon mein tha

    chhanti thi shab ko chandni baadal ki oT se

    paikar ka is ke aks sa parchhaiyon mein tha

    koyal ki kuk bhi na jawab is ka ho saki

    lahra tere gale ka jo shahnaiyon mein tha

    jis dam meri imarat-e-dil shoala-posh thi

    main ne suna ki wo bhi tamashaiyon mein tha

    uTTha usi se zist ke ehsas ka KHamir

    jo dard-e-dil ke zaKHm ki pahnaiyon mein tha

    jab shahr mein fasad hua to amir-e-shahr

    dekha gaya ki aap hi balwaion mein tha

    behad hasin tha magar 'azar' mujhe to bas

    yaad is qadar raha ki wo harjaiyon mein tha

    Source:

    Qarz-e-jan (Pg. 20)

    • Author: Rashid Azar
      • Edition: 2003
      • Publisher: Rashid Azar
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now