Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saz-e-hasti pe abhi jhum ke ga le mujhko

Ahmad Adil

saz-e-hasti pe abhi jhum ke ga le mujhko

Ahmad Adil

MORE BYAhmad Adil

    sāz-e-hastī pe abhī jhuum ke le mujh ko

    zindagī se ye kaho aur na Taale mujh ko

    maiñ ne to sub.h-e-daraḳhshāñ duā māñgī thī

    kyuuñ mile zard charāġhoñ ke ujāle mujh ko

    tujh ko paane ke liye umar gañvā maiñ ne

    haq to bantā hai ki apnā banā le mujh ko

    ye to saaqī jagah aur koī baiThā hai

    ye jo gin gin ke pilātā hai piyāle mujh ko

    maiñ zamāne ke jhameloñ meñ dhañsā jaatā huuñ

    us se kahiye ki vo daldal se nikāle mujh ko

    apnī ḳhāmosh tamannā aziyyat se nikal

    jo sunānā hai zarā khul ke sunā le mujh ko

    nā-tavānī mirī tāb-o-tavāñ hai 'ādil'

    maiñ ne kab tujh se kahā thā ki bachā le mujh ko

    saz-e-hasti pe abhi jhum ke ga le mujh ko

    zindagi se ye kaho aur na Tale mujh ko

    main ne to subh-e-daraKHshan ki dua mangi thi

    kyun mile zard charaghon ke ujale mujh ko

    tujh ko pane ke liye umar ganwa di main ne

    haq to banta hai ki tu apna bana le mujh ko

    ye to saqi ki jagah aur koi baiTha hai

    ye jo gin gin ke pilata hai piyale mujh ko

    main zamane ke jhamelon mein dhansa jata hun

    us se kahiye ki wo daldal se nikale mujh ko

    apni KHamosh tamanna ki aziyyat se nikal

    jo sunana hai zara khul ke suna le mujh ko

    na-tawani hi meri tab-o-tawan hai 'adil'

    main ne kab tujh se kaha tha ki bacha le mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now