aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saz-e-umid chheD kar taron ki tharthari na dekh

Shahab Sarmadi

saz-e-umid chheD kar taron ki tharthari na dekh

Shahab Sarmadi

MORE BYShahab Sarmadi

    sāz-e-umīd chheḌ kar tāroñ thartharī na dekh

    rāz-e-shikastagī samajh rañg-e-shikastagī na dekh

    ḳhanda-e-be-zarar kahāñ ġhuncha-o-gul se dars le

    fitrat-e-zindagī pe ishrat-e-zindagī na dekh

    hogī fazā-e-āshiyāñ soz-e-chaman se sāzgār

    barq-gudāz ban ke barq barhamī na dekh

    sūd-o-ziyāñ ke marhale bach agar in se bach sake

    apne se kuchh kamī na kar aur koī kamī na dekh

    chāñd hai terā ham-safar koī nahīñ hai rāhbar

    aage qadam baḌhā ke rakh duur raushnī na dekh

    agar subuk na ho tere sivā hai mā-sivā

    apnī farotanī nibāh ġhair bartarī na dekh

    kuchh bhī nahīñ ye ūñch-nīch dāman-e-e'tibār khīñch

    izzat-e-ādmī ko taul qīmat-e-ādmī na dekh

    apne maqām par sañbhal chal to yagāna-vār chal

    daulat-e-dostī sameT jānib-e-dushmanī na dekh

    aql manzilat ke saath aql manzileñ bhī haiñ

    ilm ismateñ bachā jahl abtarī na dekh

    apne nizām se ulajh sub.h se shaam se ulajh

    āfat-e-be-zarī ko jaan la.anat be-zarī na dekh

    ne magar 'shahāb' ke sher sune bhī hoñ kabhī

    azmat-e-shā.irī ko le shohrat-e-shā.irī na dekh

    saz-e-umid chheD kar taron ki tharthari na dekh

    raaz-e-shikastagi samajh rang-e-shikastagi na dekh

    KHanda-e-be-zarar kahan ghuncha-o-gul se dars le

    fitrat-e-zindagi pe ja ishrat-e-zindagi na dekh

    hogi faza-e-ashiyan soz-e-chaman se sazgar

    barq-gudaz ban ke ji barq ki barhami na dekh

    sud-o-ziyan ke marhale bach agar in se bach sake

    apne se kuchh kami na kar aur koi kami na dekh

    chand hai tera ham-safar koi nahin hai rahbar

    aage qadam baDha ke rakh dur ki raushni na dekh

    tu hi agar subuk na ho tere siwa hai ma-siwa

    apni farotani nibah ghair ki bartari na dekh

    kuchh bhi nahin ye unch-nich daman-e-e'tibar khinch

    izzat-e-admi ko taul qimat-e-admi na dekh

    apne maqam par sanbhal chal to yagana-war chal

    daulat-e-dosti sameT jaanib-e-dushmani na dekh

    aql ki manzilat ke sath aql ki manzilen bhi hain

    ilm ki ismaten bacha jahl ki abtari na dekh

    apne nizam se ulajh subh se sham se ulajh

    aafat-e-be-zari ko jaan lanat be-zari na dekh

    tu ne magar 'shahab' ke sher sune bhi hon kabhi

    azmat-e-shairi ko le shohrat-e-shairi na dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now