Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab haarta raha hun main ye aur baat hai

Tauseef Ahmad

sab haarta raha hun main ye aur baat hai

Tauseef Ahmad

MORE BYTauseef Ahmad

    sab hārtā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai

    par muskurā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai

    ḳhud.dār huuñ kisī se madad māñgtā nahīñ

    tujh ko bulā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai

    hai kaun is jahāñ meñ mire vāste magar

    sab se nibhā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai

    marne mashq ek taraf jaarī hai magar

    duniyā sajā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai

    dushman jo bhī mile the hunar-mand sab ke sab

    sab ko harā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai

    itne hare haiñ zaḳhm ki ronā muhāl haiñ

    ḳhushbū luTā rahā huuñ maiñ ye aur baat hai

    us se koī bhī rabt nahīñ par usī ik

    tasvīr chūmtā huuñ maiñ ye aur baat hai

    sab haarta raha hun main ye aur baat hai

    par muskura raha hun main ye aur baat hai

    KHuddar hun kisi se madad mangta nahin

    tujh ko bula raha hun main ye aur baat hai

    hai kaun is jahan mein mere waste magar

    sab se nibha raha hun main ye aur baat hai

    marne ki mashq ek taraf jari hai magar

    duniya saja raha hun main ye aur baat hai

    dushman jo bhi mile the hunar-mand sab ke sab

    sab ko hara raha hun main ye aur baat hai

    itne hare hain zaKHm ki rona muhaal hain

    KHushbu luTa raha hun main ye aur baat hai

    us se koi bhi rabt nahin par usi ki ek

    taswir chumta hun main ye aur baat hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now