Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab hasinon se ghalat-fahmi ka tufan nikla

Abrar Kiratpuri

sab hasinon se ghalat-fahmi ka tufan nikla

Abrar Kiratpuri

MORE BYAbrar Kiratpuri

    sab hasīnoñ se ġhalat-fahmī tūfāñ niklā

    vo sar-e-bazm-e-nigārāñ jo numāyāñ niklā

    mere ash'ār ko me'yār e'zāz milā

    jān-e-jāñ merā suḳhan-fahm-o-suḳhan-dāñ niklā

    muta'ajjib hue sab ahl-e-yaqīn-o-īmāñ

    jis ko kāfir kahā jaatā thā musalmāñ niklā

    le liyā jhuum ke āġhosh meñ rahmat ne use

    munfa'il ho ke jo motī sar-e-mizhgāñ niklā

    lazzat-e-dard se mahrūm vo ho jā.egā

    dil se 'āshiq ke agar lutf paikāñ niklā

    jaan ḳhair hai us na salāmat zar-o-māl

    haif jamhūr meñ insān arzāñ niklā

    sab hasinon se ghalat-fahmi ka tufan nikla

    wo sar-e-bazm-e-nigaran jo numayan nikla

    mere ash'ar ko me'yar ka e'zaz mila

    jaan-e-jaan mera suKHan-fahm-o-suKHan-dan nikla

    muta'ajjib hue sab ahl-e-yaqin-o-iman

    jis ko kafir kaha jata tha musalman nikla

    le liya jhum ke aaghosh mein rahmat ne use

    munfa'il ho ke jo moti sar-e-mizhgan nikla

    lazzat-e-dard se mahrum wo ho jaega

    dil se 'ashiq ke agar lutf ka paikan nikla

    jaan ki KHair hai us ki na salamat zar-o-mal

    haif jamhur mein insan hi arzan nikla

    Source:

    (Pg. 15)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now