aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab jit kar bhi mat se aage nahin gaya

Fauzia Shaikh

sab jit kar bhi mat se aage nahin gaya

Fauzia Shaikh

MORE BYFauzia Shaikh

    sab jiit kar bhī maat se aage nahīñ gayā

    vo shaḳhs merī zaat se aage nahīñ gayā

    nā-mumkināt se thā āġhāz-e-zindagī

    buzdil to mumkināt se aage nahīñ gayā

    Thahrā hai vaqt aaj bhī bichhḌe the ham jahāñ

    ik pal bhī ġham raat se aage nahīñ gayā

    umroñ intizār vo jholī meñ Daal kar

    do-chār pal ke saath se aage nahīñ gayā

    ġham hijr hai use shauq-e-visāl hai

    insāñ ġham-e-hayāt se aage nahīñ gayā

    jitne lage haiñ zaḳhm mire dostoñ ke haiñ

    dushman to sirf ghaat se aage nahīñ gayā

    miTTī ke haath ishq miTTī palīd hai

    bhī havas baat se aage nahīñ gayā

    hāthoñ meñ haath Daal ke jaanā thā chāñd par

    afsos chāñd-rāt se aage nahīñ gayā

    maiñ duur se dekh ke ḳhush ho ga.ī use

    aur vo bhī ḳhvāhishāt se aage nahīñ gayā

    sab jit kar bhi mat se aage nahin gaya

    wo shaKHs meri zat se aage nahin gaya

    na-mumkinat se hi tha aaghaz-e-zindagi

    buzdil to mumkinat se aage nahin gaya

    Thahra hai waqt aaj bhi bichhDe the hum jahan

    ek pal bhi gham ki raat se aage nahin gaya

    umron ka intizar wo jholi mein Dal kar

    do-chaar pal ke sath se aage nahin gaya

    gham hijr ka hai ya use shauq-e-visal hai

    insan gham-e-hayat se aage nahin gaya

    jitne lage hain zaKHm mere doston ke hain

    dushman to sirf ghat se aage nahin gaya

    miTTi ke hath ishq ki miTTi palid hai

    tu bhi hawas ki baat se aage nahin gaya

    hathon mein hath Dal ke jaana tha chand par

    afsos chand-raat se aage nahin gaya

    main dur se hi dekh ke KHush ho gai use

    aur wo bhi KHwahishat se aage nahin gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now