Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ki izzat sab se mohabbat urdu bolne wala hun

Wajeeh Sani

sab ki izzat sab se mohabbat urdu bolne wala hun

Wajeeh Sani

MORE BYWajeeh Sani

    sab izzat sab se mohabbat urdu bolne vaalā huuñ

    dhīmā lahja narm tabī.at urdu bolne vaalā huuñ

    sab zabāñ se naam thā un ye merī pahchān banī

    faḳhr mirā hai ik yahī nisbat urdu bolne vaalā huuñ

    dhartī avval beTā huuñ dhartī bhī maañ hotī hai

    sahl nahīñ thā kār-e-hijrat urdu bolne vaalā huuñ

    taur-tarīqe aur qarīne sīkhoge uslūb ka.ī

    likhne baiTho bāb-e-fasāhat urdu bolne vaalā huuñ

    tarz-e-taḳhātub tarz-e-takallum hai is meñ tahzīb chhupī

    sīkho rasm-o-rīt rivāyat urdu bolne vaalā huuñ

    maal matā.a to chhoḌ aa.e the besh-bahā ik chiiz thī bas

    so paa.ī anmol virāsat urdu bolne vaalā huuñ

    sab ki izzat sab se mohabbat urdu bolne wala hun

    dhima lahja narm tabiat urdu bolne wala hun

    sab ki zaban se nam tha un ka ye meri pahchan bani

    faKHr mera hai ek yahi nisbat urdu bolne wala hun

    dharti ka awwal beTa hun dharti bhi man hoti hai

    sahl nahin tha kar-e-hijrat urdu bolne wala hun

    taur-tariqe aur qarine sikhoge uslub kai

    likhne baiTho bab-e-fasahat urdu bolne wala hun

    tarz-e-taKHatub tarz-e-takallum hai is mein tahzib chhupi

    sikho rasm-o-rit riwayat urdu bolne wala hun

    mal mataa to chhoD aae the besh-baha ek chiz thi bas

    so pai anmol wirasat urdu bolne wala hun

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now