Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun

Syed Nawab Haider Naqvi Rahi

MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi

    sab ko miT jaanā hai taqvīm-e-fanā kyā dekhūñ

    zindagī kyuuñ na tirā husn-e-dil-ārā dekhūñ

    dil-e-pur-ḳhūñ ko to mil jaa.e farāġh-e-ishrat

    kab talak dard se us maiñ taḌaptā dekhūñ

    maiñ ki huuñ kushta-e-naumīdī-e-jāved kabhī

    apnī mauhūm ummīdoñ bar-ānā dekhūñ

    zindagī koī ma.ānī koī matlab to ho

    ye na ho qāfila-e-jāñ guzarnā dekhūñ

    sub.h se shaam talak dhuup oḌhī maiñ ne

    koī dam ab to maiñ bādal barasnā dekhūñ

    yuuñ to tābānī-e-duniyā pe nazar ruktī nahīñ

    ye na ho chehra-e-insāñ ko maiñ utrā dekhūñ

    ġharq ho jā.ūñgā apne meñ vo dariyā maiñ huuñ

    kab talak raahī samundar ishārā dekhūñ

    sab ko miT jaana hai taqwim-e-fana kya dekhun

    zindagi kyun na tera husn-e-dil-ara dekhun

    dil-e-pur-KHun ko to mil jae faragh-e-ishrat

    kab talak dard se us ka main taDapta dekhun

    main ki hun kushta-e-naumidi-e-jawed kabhi

    apni mauhum ummidon ka bar-ana dekhun

    zindagi koi maani koi matlab to ho

    ye na ho qafila-e-jaan ka guzarna dekhun

    subh se sham talak dhup hi oDhi main ne

    koi dam ab to main baadal ka barasna dekhun

    yun to tabani-e-duniya pe nazar rukti nahin

    ye na ho chehra-e-insan ko main utra dekhun

    gharq ho jaunga apne mein wo dariya main hun

    kab talak rahi samundar ka ishaara dekhun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now