Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ko wahshat hai meri wahshat ke saman dekh kar

Raees Niyazi

sab ko wahshat hai meri wahshat ke saman dekh kar

Raees Niyazi

MORE BYRaees Niyazi

    sab ko vahshat hai mirī vahshat ke sāmāñ dekh kar

    chāk-dāmāñ dekh kar chāk-e-garebāñ dekh kar

    be-ḳhabar kāñToñ se thā ahl-e-mohabbat shu.ūr

    paañv rakhne the zamīn-e-kū-e-jānāñ dekh kar

    allāh allāh jazba-e-ulfat mo.ajiz-kāriyāñ

    vo pareshāñ ho ga.e mujh ko pareshāñ dekh kar

    yaad aayā phir mujhe afsāna-e-tūr-o-kalīm

    ik tajallī tire aariz pe raqsāñ dekh kar

    chāragar ab mujh se merī lazzat-e-īzā na pūchh

    ḳhanda-zan hote haiñ zaḳhm-e-dil namakdāñ dekh kar

    hai mohabbat agar donoñ taraf yaksāñ asar

    vo pareshāñ kyuuñ nahīñ mujh ko pareshāñ dekh kar

    is meñ muzmar haiñ bahut naġhme hayāt-e-ishq ke

    chheḌ mizrāb-e-junūñ sāz-e-rag-e-jāñ dekh kar

    is junūñ chāragar ab aur kuchh kar ilaaj

    aur vahshat baḌh chalī hai kunj-e-zindāñ dekh kar

    nahīñ hotā lab-e-shikva sar-e-mahshar 'ra.īs'

    apne sar par ḳhanjar-e-qātil ehsāñ dekh kar

    sab ko wahshat hai meri wahshat ke saman dekh kar

    chaak-daman dekh kar chaak-e-gareban dekh kar

    be-KHabar kanTon se tha ahl-e-mohabbat ka shuur

    panw rakhne the zamin-e-ku-e-jaanan dekh kar

    allah allah jazba-e-ulfat ki moajiz-kariyan

    wo pareshan ho gae mujh ko pareshan dekh kar

    yaad aaya phir mujhe afsana-e-tur-o-kalim

    ek tajalli si tere aariz pe raqsan dekh kar

    chaaragar ab mujh se meri lazzat-e-iza na puchh

    KHanda-zan hote hain zaKHm-e-dil namakdan dekh kar

    hai mohabbat ka agar donon taraf yaksan asar

    wo pareshan kyun nahin mujh ko pareshan dekh kar

    is mein muzmar hain bahut naghme hayat-e-ishq ke

    chheD mizrab-e-junun saz-e-rag-e-jaan dekh kar

    is junun ka chaaragar ab aur hi kuchh kar ilaj

    aur wahshat baDh chali hai kunj-e-zindan dekh kar

    wa nahin hota lab-e-shikwa sar-e-mahshar 'rais'

    apne sar par KHanjar-e-qatil ka ehsan dekh kar

    Source:

    Kaif-e-sadrang (Pg. B-111 E-115)

    • Author: Rais Niyazii Bachrauni
      • Edition: 1984
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu Haryana
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now