Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab lazzaten visal ki bekar karte ho

Farhat Ehsas

sab lazzaten visal ki bekar karte ho

Farhat Ehsas

MORE BYFarhat Ehsas

    sab lazzateñ visāl bekār karte ho

    kyuuñ baar baar niiñd se bedār karte ho

    achchhā to tum ko mashq-e-masīhā.ī karnī hai

    itnā isī liye hameñ bīmār karte ho

    saaya saroñ pe dhuup meñ karne baat thī

    ye nek kaam kyuuñ pas-e-dīvār karte ho

    kapḌe safed dekh ke bolā ye merā jism

    kis jashn ke liye mujhe tayyār karte ho

    va.ada to ye ki ghar meñ basā.eñge ham tumheñ

    phir ham ko qaidī-e-dar-o-dīvār karte ho

    hai ishq ke sivā bhī koī baat varna tum

    kyuuñ baar baar ishq iz.hār karte ho

    aisā hai kaun dil ḳharīdār jis pe tum

    chhoTī is dukān ko bāzār karte ho

    ham to tumhāre qabza-e-qudrat meñ haiñ to phir

    itnā qarīb kyuuñ mirī sarkār karte ho

    dildār dil se lag ke khaḌe hoñ to kis liye

    duniyā oT se mirā dīdār karte ho

    'ehsās' ne tum ko banāyā hai bādshāh

    'ehsās' ko rāñda-e-darbār karte ho

    sab lazzaten visal ki bekar karte ho

    kyun bar bar nind se bedar karte ho

    achchha to tum ko mashq-e-masihai karni hai

    itna isi liye hamein bimar karte ho

    saya saron pe dhup mein karne ki baat thi

    ye nek kaam kyun pas-e-diwar karte ho

    kapDe safed dekh ke bola ye mera jism

    kis jashn ke liye mujhe tayyar karte ho

    wada to ye ki ghar mein basaenge hum tumhein

    phir hum ko qaidi-e-dar-o-diwar karte ho

    hai ishq ke siwa bhi koi baat warna tum

    kyun bar bar ishq ka izhaar karte ho

    aisa hai kaun dil ka KHaridar jis pe tum

    chhoTi si is dukan ko bazar karte ho

    hum to tumhaare qabza-e-qudrat mein hain to phir

    itna qarib kyun meri sarkar karte ho

    dildar dil se lag ke khaDe hon to kis liye

    duniya ki oT se mera didar karte ho

    'ehsas' hi ne tum ko banaya hai baadshah

    'ehsas' hi ko randa-e-darbar karte ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now