Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe

Bharat Bhushan Pant

sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe

Bharat Bhushan Pant

MORE BYBharat Bhushan Pant

    sab ne hoñToñ se lagā kar toḌ Daalā hai mujhe

    kūza-gar ne jaane kis miTTī se Dhālā hai mujhe

    is tarah to aur manzar udāsī baḌh ga.ī

    maiñ kahīñ ḳhud meñ nihāñ thā kyuuñ nikālā hai mujhe

    shāḳh par rah kar kahāñ mumkin thā merā ye safar

    ab havā ne apne hāthoñ meñ sambhālā hai mujhe

    kyuuñ sajānā chāhte ho apnī palkoñ par mujhe

    rā.egāñ ḳhvāb huuñ āñkhoñ ne Taalā hai mujhe

    ik zarā dhuup ko le kar ye hañgāma huā

    merī parchhā.iyoñ ne rauñd Daalā hai mujhe

    jaane kitne chāñd taare raat ke jañgal meñ the

    yaad lekin ek jugnū ujālā hai mujhe

    ik dhaḌakte dil se maiñ ne ḳhud ko patthar kar liyā

    ab butoñ ke saath bas rakhne vaalā hai mujhe

    zindagī ne apnā koī ḳhvāb bunñe ke liye

    ek ik dhāge sūrat khol Daalā hai mujhe

    sab ne honTon se laga kar toD Dala hai mujhe

    kuza-gar ne jaane kis miTTi se Dhaala hai mujhe

    is tarah to aur manzar ki udasi baDh gai

    main kahin KHud mein nihan tha kyun nikala hai mujhe

    shaKH par rah kar kahan mumkin tha mera ye safar

    ab hawa ne apne hathon mein sambhaala hai mujhe

    kyun sajaana chahte ho apni palkon par mujhe

    raegan sa KHwab hun aankhon ne Tala hai mujhe

    ek zara si dhup ko le kar ye hangama hua

    meri hi parchhaiyon ne raund Dala hai mujhe

    jaane kitne chand tare raat ke jangal mein the

    yaad lekin ek jugnu ka ujala hai mujhe

    ek dhaDakte dil se main ne KHud ko patthar kar liya

    ab buton ke sath hi bas rakhne wala hai mujhe

    zindagi ne apna koi KHwab bunne ke liye

    ek ek dhage ki surat khol Dala hai mujhe

    Source:

    Bechehragi (Pg. 54)

    • Author: bharat bhushan pant
      • Edition: 2010
      • Publisher: Suman prakashan Alambagh,Lucknow
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now