Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab the manzur-e-nazar ek main ruswa tha faqat

Javed Jamil

sab the manzur-e-nazar ek main ruswa tha faqat

Javed Jamil

MORE BYJaved Jamil

    sab the manzūr-e-nazar ek maiñ rusvā thā faqat

    the tamāshā.ī sabhī maiñ tamāshā thā faqat

    sāmne hadd-e-nazar tak mire sahrā thā faqat

    aur ye nazzāra jiine sahārā thā faqat

    us daulat tamannā mirī dushman niklī

    mere qabze meñ mohabbat ḳhazāna thā faqat

    aisā mahsūs huā jaise ki aayā thā

    dar-haqīqat tire saa.e bhī saayā thā faqat

    maiñ ye samjhā thā haiñ aflāk mirī muTThī meñ

    qabr bolī ki ik ḳhaak putlā thā faqat

    rutba saaqī thā tere to dam se 'jāved'

    ek to bharī bazm meñ pyāsā thā faqat

    sab the manzur-e-nazar ek main ruswa tha faqat

    the tamashai sabhi main hi tamasha tha faqat

    samne hadd-e-nazar tak mere sahra tha faqat

    aur ye nazzara hi jine ka sahaara tha faqat

    us ki daulat ki tamanna meri dushman nikli

    mere qabze mein mohabbat ka KHazana tha faqat

    aisa mahsus hua jaise ki tu aaya tha

    dar-haqiqat tere sae ka bhi saya tha faqat

    main ye samjha tha hain aflak meri muTThi mein

    qabr boli ki tu ek KHak ka putla tha faqat

    rutba saqi ka tha tere hi to dam se 'jawed'

    ek tu hi to bhari bazm mein pyasa tha faqat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now