Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sab wa hain dariche to hawa kyon nahin aati

Shabnam Shakeel

sab wa hain dariche to hawa kyon nahin aati

Shabnam Shakeel

MORE BYShabnam Shakeel

    sab haiñ darīche to havā kyoñ nahīñ aatī

    chup kyoñ haiñ parindoñ sadā kyoñ nahīñ aatī

    gul khilne mausam hai to phir kyoñ nahīñ khilte

    ḳhāmosh haiñ kyoñ peḌ sabā kyoñ nahīñ aatī

    be-ḳhvāb kivāḌoñ pe havā detī hai dastak

    so.e hue logoñ ko jagā kyoñ nahīñ detī

    sunte haiñ ki manzar hai badalne ko chaman

    phir is gavāhī nidā kyoñ nahīñ aatī

    kyoñ ek se lagte haiñ yahāñ ab sabhī mausam

    ḳhushbū kisī mausam se judā kyoñ nahīñ hotī

    sonā hai mujhe ab to vahī oḌh ke 'shabnam'

    mere liye phūloñ ridā kyoñ nahīñ aatī

    sab wa hain dariche to hawa kyon nahin aati

    chup kyon hain parindon ki sada kyon nahin aati

    gul khilne ka mausam hai to phir kyon nahin khilte

    KHamosh hain kyon peD saba kyon nahin aati

    be-KHwab kiwaDon pe hawa deti hai dastak

    soe hue logon ko jaga kyon nahin deti

    sunte hain ki manzar hai badalne ko chaman ka

    phir is ki gawahi ki nida kyon nahin aati

    kyon ek se lagte hain yahan ab sabhi mausam

    KHushbu kisi mausam se juda kyon nahin hoti

    sona hai mujhe ab to wahi oDh ke 'shabnam'

    mere liye phulon ki rida kyon nahin aati

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now