Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saba ne kan mein aa kar kaha mile hi nahin

Ali Sajid

saba ne kan mein aa kar kaha mile hi nahin

Ali Sajid

MORE BYAli Sajid

    sabā ne kaan meñ aa kar kahā mile nahīñ

    hasīn log tire gaañv meñ rahe nahīñ

    hameñ kyā 'ilm ki kyā shai hai ābla-pā.ī

    ham apne kamre se bāhar kabhī ga.e nahīñ

    hameñ bachāne pe raazī thā ik jahān magar

    phir ek moḌ vo aayā ki ham bache nahīñ

    tamām shahr ne mil-jul ke kar liye taqsīm

    ye hādsāt mire yaar jab Tale nahīñ

    mujhe girāne pe āñdhī zor thā kitnā

    mere lagā.e hue peḌ to gire nahīñ

    saba ne kan mein aa kar kaha mile hi nahin

    hasin log tere ganw mein rahe hi nahin

    hamein kya 'ilm ki kya shai hai aabla-pai

    hum apne kamre se bahar kabhi gae hi nahin

    hamein bachane pe raazi tha ek jahan magar

    phir ek moD wo aaya ki hum bache hi nahin

    tamam shahr ne mil-jul ke kar liye taqsim

    ye hadsat mere yar jab Tale hi nahin

    mujhe girane pe aandhi ka zor tha kitna

    mere lagae hue peD to gire hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now