Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sabhi to hain magar ab mehrban kahan hai koi

Mushtaq Anjum

sabhi to hain magar ab mehrban kahan hai koi

Mushtaq Anjum

MORE BYMushtaq Anjum

    sabhī to haiñ magar ab mehrbāñ kahāñ hai koī

    nazar meñ pyaar liye darmiyāñ kahāñ hai koī

    ik apnā sar nahīñ dil bhī maiñ jhukā dūñgā

    magar batāo zarā āstāñ kahāñ hai koī

    sitamgarī hadeñ us ne toḌ Daalī haiñ

    hamārī tarah magar be-zabāñ kahāñ hai koī

    kabhī to puure shajar par thā apnā kāshāna

    hamāre naam ab āshiyāñ kahāñ hai koī

    tumhārī apnī kashtī Dubo na de tum ko

    havā hai tez magar bādbāñ kahāñ hai koī

    hamāre paañv tale zamīn khīñchte ho

    hamāre ba.ad tumhārā jahāñ kahāñ hai koī

    karoge ġhaur to 'anjum' samajh meñ aa.egā

    zamīñ hai chāroñ taraf āsmāñ kahāñ hai koī

    sabhi to hain magar ab mehrban kahan hai koi

    nazar mein pyar liye darmiyan kahan hai koi

    ek apna sar hi nahin dil bhi main jhuka dunga

    magar batao zara aastan kahan hai koi

    sitamgari ki haden us ne toD Dali hain

    hamari tarah magar be-zaban kahan hai koi

    kabhi to pure shajar par tha apna kashana

    hamare nam ka ab aashiyan kahan hai koi

    tumhaari apni hi kashti Dubo na de tum ko

    hawa hai tez magar baadban kahan hai koi

    hamare panw tale ki zamin khinchte ho

    hamare baad tumhaara jahan kahan hai koi

    karoge ghaur to 'anjum' samajh mein aaega

    zamin hai chaaron taraf aasman kahan hai koi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now