sach batlao yar kisi se tumko hui mohabbat hai
sach batlāo yaar kisī se tum ko huī mohabbat hai
varna kaun kahānī suntā kis ko itnī fursat hai
ham donoñ ke baare meñ bas itnā hī kah saktā huuñ
dozaḳh mere jaisī hogī us ke jaisī jannat hai
tum se hañs kar baat kare to 'ishq samajh mat lenā tum
sab se hañs kar bāteñ karnā us kī to bas fitrat hai
koī chiiz haTā.ī jaa.e ḳhālī-pan to lagtā hai
jahāñ-jahāñ yādeñ thiiñ us kī vahāñ-vahāñ par ḳhalvat hai
farq nahīñ paḌtā mujh ko sultān kahīñ ke bhī hoñ aap
taaj kī qīmat jo bhī ho kaase kī apnī qīmat hai
sach batlao yar kisi se tum ko hui mohabbat hai
warna kaun kahani sunta kis ko itni fursat hai
hum donon ke bare mein bas itna hi kah sakta hun
dozaKH mere jaisi hogi us ke jaisi jannat hai
tum se hans kar baat kare to 'ishq samajh mat lena tum
sab se hans kar baaten karna us ki to bas fitrat hai
koi chiz haTai jae KHali-pan to lagta hai
jahan-jahan yaaden thin us ki wahan-wahan par KHalwat hai
farq nahin paDta mujh ko sultan kahin ke bhi hon aap
taj ki qimat jo bhi ho kase ki apni qimat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.