sach hai ya phir mughaalta hai mujhe
sach hai yā phir muġhālta hai mujhe
koī āvāz de rahā hai mujhe
maiñ to pahle se hī zarā sā thā
hijr ne aur khā liyā hai mujhe
ek ummīd jaag uThtī hai
āsmāñ jab bhī dekhtā hai mujhe
ye marāsim bahut purāne haiñ
dasht sadiyoñ se jāntā hai mujhe
merī jānib bhī aa zarā fursat
apne baare meñ sochnā hai mujhe
sach hai ya phir mughaalta hai mujhe
koi aawaz de raha hai mujhe
main to pahle se hi zara sa tha
hijr ne aur kha liya hai mujhe
ek ummid jag uThti hai
aasman jab bhi dekhta hai mujhe
ye marasim bahut purane hain
dasht sadiyon se jaanta hai mujhe
meri jaanib bhi aa zara fursat
apne bare mein sochna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.