Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sach hi likha tha ek insan ne jis din kaljug aaega

Minhaj Naqeeb

sach hi likha tha ek insan ne jis din kaljug aaega

Minhaj Naqeeb

MORE BYMinhaj Naqeeb

    sach likhā thā ik insān ne jis din kaljug aa.egā

    luule lañgḌe raaj kareñge andhā raah dikhā.egā

    dharm kahnā jo koī bhī mānegā sachche dil se

    ham se pyaar karegā vo sab dukh apnā.egā

    chor-uchakke ġhunDe-luchche jo mandir meñ baiThe haiñ

    un se kyūñkar dharm karam kaam koī ho pā.egā

    dukh se pīḌit fikr se ghāyal jab saarī mānavtā hai

    phir kyoñ koī antarman se ḳhush ho kar hañs pā.egā

    log qayāmat tayyārī bhūke rah kar karte haiñ

    kis ko pata thā insān itnā mūrakh bhī ho jā.egā

    raat añdherī bādal garje bijlī chamkī meñh paḌe

    phir kyā bhayānak tūfāñ se ye jag saarā bah jā.egā

    sach hi likha tha ek insan ne jis din kaljug aaega

    lule langDe raj karenge andha rah dikhaega

    dharm ka kahna jo koi bhi manega sachche dil se

    hum se pyar karega wo hi sab ka dukh apnaega

    chor-uchakke ghunDe-luchche jo mandir mein baiThe hain

    un se kyunkar dharm karam ka kaam koi ho paega

    dukh se piDit fikr se ghayal jab sari manawta hai

    phir kyon koi antarman se KHush ho kar hans paega

    log qayamat ki tayyari bhuke rah kar karte hain

    kis ko pata tha insan itna murakh bhi ho jaega

    raat andheri baadal garje bijli chamki meinh paDe

    phir kya bhayanak tufan se ye jag sara bah jaega

    Source:

    Ek Lahme Ki Tazgi Ke Liye (Pg. 30)

    • Author: Minhaj Naqeeb
      • Publisher: Hali Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now