Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sach ke auraq pe jhuTon ki kahani likh kar

Hira Qasmi

sach ke auraq pe jhuTon ki kahani likh kar

Hira Qasmi

MORE BYHira Qasmi

    sach ke aurāq pe jhūToñ kahānī likh kar

    log haiñ shaad sarāboñ ko bhī paanī likh kar

    kyā kahūñ ḳhud ko abhī tak na samajh paa.ī maiñ

    us ne jānāñ bhī likhā dushman-e-jānī likh kar

    ḳhema-e-sabr lagā.e ye mohabbat ke safīr

    raat bhar rote rahe tishna-dahānī likh kar

    dekhnā phir yahāñ sailāb umaD aa.egā

    chāhe to dekh le ashkoñ ravānī likh kar

    jo ga.e vaqt meñ ḳhush-hāl batātā thā hameñ

    aaj baiThā hai vahī ġham divānī likh kar

    zikr aaya jo mohabbat sar-e-bazm 'hirā'

    lauT aa.ī maiñ vahāñ dard saanī likh kar

    sach ke auraq pe jhuTon ki kahani likh kar

    log hain shad sarabon ko bhi pani likh kar

    kya kahun KHud ko abhi tak na samajh pai main

    us ne jaanan bhi likha dushman-e-jaani likh kar

    KHema-e-sabr lagae ye mohabbat ke safir

    raat bhar rote rahe tishna-dahani likh kar

    dekhna phir yahan sailab umaD aaega

    chahe to dekh le ashkon ki rawani likh kar

    jo gae waqt mein KHush-haal batata tha hamein

    aaj baiTha hai wahi gham ki diwani likh kar

    zikr aaya jo mohabbat ka sar-e-bazm 'hira'

    lauT aai main wahan dard ka sani likh kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now