Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega

Arshad Kamal

sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega

Arshad Kamal

MORE BYArshad Kamal

    sach ḳhātir sab kuchh khoyā kaun likhegā

    merā ye be-kaif qissa kaun likhegā

    yuuñ to har kāñdhe par ik chehra hai lekin

    kis ke paas hai apnā chehra kaun likhegā

    barf pighal kar dariyā to tuġhyānī laa.e

    kyuuñ chaḌhtā hai vaqt dariyā kaun likhegā

    dasht-navardī qissa to sab likhte haiñ

    kis ghar meñ hai kitnā sahrā kaun likhegā

    sāmne jo hālāt haiñ un sab ke hone meñ

    kitnā kuchh hai kis hissa kaun likhegā

    ḳhushk huā ehsās ḳhāma ab aise meñ

    kyā hotā hai dard rishta kaun likhegā

    roz-o-shab ke beach tasādum meñ ai hamdam

    sūraj kirdār hai kaisā kaun likhegā

    abr-e-siyah to jhuum ke aayā lekin 'arshad'

    kis bastī par kitnā barsā kaun likhegā

    sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega

    mera ye be-kaif sa qissa kaun likhega

    yun to har kandhe par ek chehra hai lekin

    kis ke pas hai apna chehra kaun likhega

    barf pighal kar dariya to tughyani lae

    kyun chaDhta hai waqt ka dariya kaun likhega

    dasht-nawardi ka qissa to sab likhte hain

    kis ghar mein hai kitna sahra kaun likhega

    samne jo haalat hain un sab ke hone mein

    kitna kuchh hai kis ka hissa kaun likhega

    KHushk hua ehsas ka KHama ab aise mein

    kya hota hai dard ka rishta kaun likhega

    roz-o-shab ke beach tasadum mein ai hamdam

    suraj ka kirdar hai kaisa kaun likhega

    abr-e-siyah to jhum ke aaya lekin 'arshad'

    kis basti par kitna barsa kaun likhega

    RECITATIONS

    Arshad Kamal

    Arshad Kamal,

    Arshad Kamal

    Arshad Kamal,

    Arshad Kamal

    sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega Arshad Kamal

    Arshad Kamal

    sach ki KHatir sab kuchh khoya kaun likhega Arshad Kamal

    Source:

    Dhoop ke Paudey (Pg. 115)

    • Author: Arshad Kamal
      • Edition: 2008
      • Publisher: Arshad Kamal
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now