Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sach pe hi sabit-qadam Thahri thi main

Hajra Noor Zaryab

sach pe hi sabit-qadam Thahri thi main

Hajra Noor Zaryab

MORE BYHajra Noor Zaryab

    sach pe sābit-qadam Thahrī thī maiñ

    aur jhūTī baat par rūThī thī maiñ

    der se aamad sun kar naved

    aap tasvīr se uljhī thī maiñ

    tujh se mil kar baḌh ga.ī vaq.at mirī

    varna pahle ḳhud ko kab samjhī thī maiñ

    ne paḌh kar kar diyā mujh ko ġhazal

    varna harf-e-mohmila jaisī thī maiñ

    kar diyā 'zaryāb' ne shāhīñ mujhe

    shā.irī ke baaġh titlī thī maiñ

    sach pe hi sabit-qadam Thahri thi main

    aur jhuTi baat par ruThi thi main

    der se aamad ki hi sun kar nawed

    aap ki taswir se uljhi thi main

    tujh se mil kar baDh gai waqat meri

    warna pahle KHud ko kab samjhi thi main

    tu ne paDh kar kar diya mujh ko ghazal

    warna harf-e-mohmila jaisi thi main

    kar diya 'zaryab' ne shahin mujhe

    shairi ke bagh ki titli thi main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now