Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sachche dil se wada kiya ho aisa bhi to ho sakta hai

Jafar Raza

sachche dil se wada kiya ho aisa bhi to ho sakta hai

Jafar Raza

MORE BYJafar Raza

    Interesting Fact

    (On the dissolution of USSR)

    sachche dil se va.ada kiyā ho aisā bhī to ho saktā hai

    us kyā hai bhuul gayā ho aisā bhī to ho saktā hai

    fitna-gar ruup nayā ho aisā bhī to ho saktā hai

    mujh se mil kar us se milā ho aisā bhī to ho saktā hai

    ishq mohabbat laag lagāvaT shāyad is meñ kuchh bhī na ho

    sirf tumheñ mahsūs huā ho aisā bhī to ho saktā hai

    aap mire qātil kyūñ-kar hoñ jhuuT kisī ne uḌāyā hogā

    aap chehra us jaisā ho aisā bhī to ho saktā hai

    ahl-e-basīrat dhokā khā kar ġhair bātoñ meñ aa.e hoñ

    ghar bhedī koī rahā ho aisā bhī to ho saktā hai

    pahle bhī abnā-e-vatan ne bechā hai nāmūs-e-vatan ko

    vaqt ne ḳhud ko dohrāyā ho aisā bhī to ho saktā hai

    zo.am-e-hukūmat ne Thukrāyā rahbar-e-dīñ dāvat-e-haq ko

    us ye anjām huā ho aisā bhī to ho saktā hai

    dil to āḳhir dil hai yārāñ kab tak un ke roke ruktā

    pakkā phoḌā phuuT bahā ho aisā bhī to ho saktā hai

    ḳhatm-e-safar par ahl-e-masāfat itne kyuuñ māyūs hue ho

    is manzil se safar nayā ho aisā bhī to ho saktā hai

    sachche dil se wada kiya ho aisa bhi to ho sakta hai

    us ka kya hai bhul gaya ho aisa bhi to ho sakta hai

    fitna-gar ka rup naya ho aisa bhi to ho sakta hai

    mujh se mil kar us se mila ho aisa bhi to ho sakta hai

    ishq mohabbat lag lagawaT shayad is mein kuchh bhi na ho

    sirf tumhein mahsus hua ho aisa bhi to ho sakta hai

    aap mere qatil kyun-kar hon jhuT kisi ne uDaya hoga

    aap ka chehra us jaisa ho aisa bhi to ho sakta hai

    ahl-e-basirat dhoka kha kar ghair ki baaton mein aae hon

    ghar ka bhedi koi raha ho aisa bhi to ho sakta hai

    pahle bhi abna-e-watan ne becha hai namus-e-watan ko

    waqt ne KHud ko dohraya ho aisa bhi to ho sakta hai

    zoam-e-hukumat ne Thukraya rahbar-e-din ki dawat-e-haq ko

    us ka ye anjam hua ho aisa bhi to ho sakta hai

    dil to aaKHir dil hai yaran kab tak un ke roke rukta

    pakka phoDa phuT baha ho aisa bhi to ho sakta hai

    KHatm-e-safar par ahl-e-masafat itne kyun mayus hue ho

    is manzil se safar naya ho aisa bhi to ho sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now