Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sad-haif adam ko Thukra kar hasti ki ziyarat kar baiThe

Akhtar Husain Shaafi

sad-haif adam ko Thukra kar hasti ki ziyarat kar baiThe

Akhtar Husain Shaafi

MORE BYAkhtar Husain Shaafi

    sad-haif adam ko Thukrā kar hastī ziyārat kar baiThe

    nādāñ the ham nādānī meñ jiine himāqat kar baiThe

    ḳhāliq ne navāzā roz-e-azal kis tarah hameñ kyā batlā.eñ

    lekin jo amānat paa.ī thī ham us meñ ḳhayānat kar baiThe

    is des meñ jab har rahzan ko rahbar sharaf paate dekhā

    qadroñ ke muhāfiz ho kar bhī qadroñ se baġhāvat kar baiThe

    nau-ḳhez guloñ ke aariz par jo maut zardī le aa.ī

    us bād-e-sabā se ghabrā kar tūfāñ se mohabbat kar baiThe

    vo daur gayā jab zālim ko mā.il-ba-karam kartī thī vafā

    ham kar ke mohabbat dushman se sāmān-e-qayāmat kar baiThe

    āzār na jaane kitne the 'shāfī' se mudāvā kyā hotā

    tauhīd ke dīvāne the magar asnām taa.at kar baiThe

    sad-haif adam ko Thukra kar hasti ki ziyarat kar baiThe

    nadan the hum nadani mein jine ki himaqat kar baiThe

    KHaliq ne nawaza roz-e-azal kis tarah hamein kya batlaen

    lekin jo amanat pai thi hum us mein KHayanat kar baiThe

    is des mein jab har rahzan ko rahbar ka sharaf pate dekha

    qadron ke muhafiz ho kar bhi qadron se baghawat kar baiThe

    nau-KHez gulon ke aariz par jo maut ki zardi le aai

    us baad-e-saba se ghabra kar tufan se mohabbat kar baiThe

    wo daur gaya jab zalim ko mail-ba-karam karti thi wafa

    hum kar ke mohabbat dushman se saman-e-qayamat kar baiThe

    aazar na jaane kitne the 'shafi' se mudawa kya hota

    tauhid ke diwane the magar asnam ki taat kar baiThe

    Source:

    Makan Se Laa Makan Tak (Pg. 111)

    • Author: Akhtar Husain Shaafi
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now