aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sad-haif ki kamzor hai chashman buDhapa

Obaidullah Khan Mubtala

sad-haif ki kamzor hai chashman buDhapa

Obaidullah Khan Mubtala

MORE BYObaidullah Khan Mubtala

    sad-haif ki kamzor hai chashmān buḌhāpā

    sustī satī jumbish meñ hai dandān buḌhāpā

    az bas-ki huā haigā guzar fasl-e-ḳhizāñ

    raunaq nahīñ rakhtā hai gulistān buḌhāpā

    arbal ke bhañvar meñ ga.ī hai Duub javānī

    jis vaqt uThā jag mane tūfān buḌhāpā

    tasbīh-o-musallā-o-asā ainak-o-ra.asha

    joban ne diyā bhej ye sāmān buḌhāpā

    ġhaflat ruī duur na shīsha-e-dil suuñ

    mai-ḳhāne meñ mastāñ ne sun ilhān buḌhāpā

    ash.ār haiñ tārīf sapedī sarāpā

    is vāste rañgīñ nahīñ dīvān buḌhāpā

    joban ke bhavan meñ lagī hai ātish-e-garmī

    chhiḌke hai tahūr aab zamistān buḌhāpā

    gardūñ tarah ḳham huā qad qaus-e-quzah

    khīñchā hai magar zo.af suuñ kaivān buḌhāpā

    amrāz afvāj yūrish hai badan par

    is mulk meñ maġhlūb hai sultān buḌhāpā

    ab bulbul-e-jāñ tañg huā tan ke qafas meñ

    parvāz kare dekh ke zindān buḌhāpā

    lazzat nahīñ detā hai dahan biich kasū ke

    ai 'mubtalā' kyā sard haigā naan buḌhāpā

    sad-haif ki kamzor hai chashman buDhapa

    susti sati jumbish mein hai dandan buDhapa

    az bas-ki hua haiga guzar fasl-e-KHizan ka

    raunaq nahin rakhta hai gulistan buDhapa

    arbal ke bhanwar mein gai hai Dub jawani

    jis waqt uTha jag mane tufan buDhapa

    tasbih-o-musalla-o-asa ainak-o-rasha

    joban ne diya bhej ye saman buDhapa

    ghaflat ki rui dur na ki shisha-e-dil sun

    mai-KHane mein mastan ne sun ilhan buDhapa

    ashaar hain tarif sapedi ki sarapa

    is waste rangin nahin diwan buDhapa

    joban ke bhawan mein lagi hai aatish-e-garmi

    chhiDke hai tahur aab zamistan buDhapa

    gardun ki tarah KHam hua qad qaus-e-quzah ka

    khincha hai magar zoaf sun kaiwan buDhapa

    amraaz ki afwaj ka yurish hai badan par

    is mulk mein maghlub hai sultan buDhapa

    ab bulbul-e-jaan tang hua tan ke qafas mein

    parwaz kare dekh ke zindan buDhapa

    lazzat nahin deta hai dahan bich kasu ke

    ai 'mubtala' kya sard haiga nan buDhapa

    Source:

    Dewan-e-mubtalaáEk Eham Go Shayar-Muqallid Wali (Pg. B-24 E-25)

      • Edition: 1996
      • Publisher: Noorul Hasan Hashmi
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now