Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sada-e-sang daman-gir thi pal pal bahut roya

Mahboob Anwar

sada-e-sang daman-gir thi pal pal bahut roya

Mahboob Anwar

MORE BYMahboob Anwar

    sadā-e-sañg dāman-gīr thī pal pal bahut royā

    ghanī ābādiyoñ se lauT kar pāgal bahut royā

    mire khetoñ ko sahrā kar gayā bastī ko vīrāna

    magar dariyā pe jab pahuñchā to ye bādal bahut royā

    mire kamre tanhā.ī meñ gahrī tīrgī phailī

    kisī aañkh lagtā hai phir kājal bahut royā

    vo jab bhī rizq ke sūraj se jal bhun kar huā vāpas

    to us būḌhī maañ be-qarār āñchal bahut royā

    phir ab ke us sakhiyoñ ke ghar āñgan phuul khil uTThe

    phir ab ke saal us god chāval bahut royā

    faqat ye baat ki ābādiyoñ meñ sar uchhalte haiñ

    darinde ban ga.e insān to jangal bahut royā

    hamāre ahd gautam bhī qātil-dost hai 'anvar'

    bas itnī ḳhabar par sāya-e-pīpal bahut royā

    sada-e-sang daman-gir thi pal pal bahut roya

    ghani aabaadiyon se lauT kar pagal bahut roya

    mere kheton ko sahra kar gaya basti ko virana

    magar dariya pe jab pahuncha to ye baadal bahut roya

    mere kamre ki tanhai mein gahri tirgi phaili

    kisi ki aankh ka lagta hai phir kajal bahut roya

    wo jab bhi rizq ke suraj se jal bhun kar hua wapas

    to us ki buDhi man ka be-qarar aanchal bahut roya

    phir ab ke us ki sakhiyon ke ghar aangan phul khil uTThe

    phir ab ke sal us ki god ka chawal bahut roya

    faqat ye baat ki aabaadiyon mein sar uchhalte hain

    darinde ban gae insan to jangal bahut roya

    hamare ahd ka gautam bhi qatil-dost hai 'anwar'

    bas itni si KHabar par saya-e-pipal bahut roya

    Source:

    Nuqte Ka Safar (Pg. 66)

    • Author: Mahboob Anwar
      • Publisher: Mahboob Anwar
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now