Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sada ye kis ki hai jo dur se bulae mujhe

Murtaza Barlas

sada ye kis ki hai jo dur se bulae mujhe

Murtaza Barlas

MORE BYMurtaza Barlas

    sadā ye kis hai jo duur se bulā.e mujhe

    qarīb jā.ūñ to kuchh bhī nazar na aa.e mujhe

    maiñ bujhte bujhte dhueñ lakīr chhoḌūñgā

    ye bād-e-tund zarā soch kar bujhā.e mujhe

    ġhurūb ke nahīñ āsār ye to phir kyā haiñ

    ki jism se baḌe lagte haiñ ab to saa.e mujhe

    jalā ho dhuup meñ aur ḳhāl-o-ḳhad na bigḌe hoñ

    bhare jahāñ meñ vo ik shaḳhs to dikhā.e mujhe

    kisī ke lams se kundan maiñ ho to saktā huuñ

    magar ye shart koī haath to lagā.e mujhe

    sada ye kis ki hai jo dur se bulae mujhe

    qarib jaun to kuchh bhi nazar na aae mujhe

    main bujhte bujhte dhuen ki lakir chhoDunga

    ye baad-e-tund zara soch kar bujhae mujhe

    ghurub ke nahin aasar ye to phir kya hain

    ki jism se baDe lagte hain ab to sae mujhe

    jala ho dhup mein aur KHal-o-KHad na bigDe hon

    bhare jahan mein wo ek shaKHs to dikhae mujhe

    kisi ke lams se kundan main ho to sakta hun

    magar ye shart koi hath to lagae mujhe

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 831)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now