Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadaqat sadgi oDhe bulandi tham leti hai

Taufeeq Sagar

sadaqat sadgi oDhe bulandi tham leti hai

Taufeeq Sagar

MORE BYTaufeeq Sagar

    sadāqat sādgī oḌhe bulandī thaam letī hai

    shahanshah rasā.ī ko faqīrī thaam letī hai

    ulajh kar rañg-o-bū meñ ishq ma.asūm bachchī

    miThā.ī dukānoñ meñ jalebī thaam letī hai

    maiñ us ke rū-ba-rū har baat apnī bhuul jaatā huuñ

    vo kuchh kahne jo aatī hai sahelī thaam letī hai

    ye kis dil dukhā kar apne gaañv se maiñ niklā huuñ

    galī har moḌ par merī kalā.ī thaam letī hai

    bayāñ apnā badal kar aa gayā hai jab se fariyādī

    gavāhī dene vāloñ ko kachehrī thaam letī hai

    karam shukriya lekin na samho nā-samajh ham ko

    navāzish har ik maqsad ġharībī thaam letī hai

    koī ḳhushbū javāñ hotī hai mere gaañv meñ jab bhī

    havā yuuñ ruḳh badaltī hai havelī thaam letī hai

    mirī sairābiyoñ ko tishnagī par chhoḌ do yaaro

    ye nāgin ḳhud-ba-ḳhud apnā madārī thaam letī hai

    yahāñ ik sham.a raushan karnā bhī āsāñ nahīñ itnā

    zarā chuuk hone par hathelī thaam letī hai

    qasīda kyā likhūñ 'sāgar' tumhārī shān-o-shaukat

    yahāñ to bādshāhat bhī kaTorī thaam letī hai

    sadaqat sadgi oDhe bulandi tham leti hai

    shahanshah ki rasai ko faqiri tham leti hai

    ulajh kar rang-o-bu mein ishq ki masum si bachchi

    miThai ki dukanon mein jalebi tham leti hai

    main us ke ru-ba-ru har baat apni bhul jata hun

    wo kuchh kahne jo aati hai saheli tham leti hai

    ye kis ka dil dukha kar apne ganw se main nikla hun

    gali har moD par meri kalai tham leti hai

    bayan apna badal kar aa gaya hai jab se fariyaadi

    gawahi dene walon ko kachehri tham leti hai

    karam ka shukriya lekin na samho na-samajh hum ko

    nawazish ka har ek maqsad gharibi tham leti hai

    koi KHushbu jawan hoti hai mere ganw mein jab bhi

    hawa yun ruKH badalti hai haweli tham leti hai

    meri sairabiyon ko tishnagi par chhoD do yaro

    ye nagin KHud-ba-KHud apna madari tham leti hai

    yahan ek shama raushan karna bhi aasan nahin itna

    zara si chuk hone par hatheli tham leti hai

    qasida kya likhun 'sagar' tumhaari shan-o-shaukat ka

    yahan to baadshahat bhi kaTori tham leti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now