Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadaf ko gauhar-e-nayab likhna

Aleem Saba Navedi

sadaf ko gauhar-e-nayab likhna

Aleem Saba Navedi

MORE BYAleem Saba Navedi

    sadaf ko gauhar-e-nāyāb likhnā

    ġhalat hai zindagī ko ḳhvāb likhnā

    koī pūchhe to tuġhyānī se pahle

    umangeñ ho ga.iiñ ġharqāb likhnā

    mirī hastī simaT jaa.e to ik din

    na hone ke mire asbāb likhnā

    ḳhamoshī koī pūchhe sabab to

    shikan-ālūd haiñ a.asāb likhnā

    na.e logoñ chāhat matlabī hai

    purānī chāhatoñ baab likhnā

    'navedī' se agar pūchheñ ghaTā.eñ

    hai zaḳhmoñ se 'sabā' shādāb likhnā

    sadaf ko gauhar-e-nayab likhna

    ghalat hai zindagi ko KHwab likhna

    koi puchhe to tughyani se pahle

    umangen ho gain gharqab likhna

    meri hasti simaT jae to ek din

    na hone ke mere asbab likhna

    KHamoshi ka koi puchhe sabab to

    shikan-alud hain aasab likhna

    nae logon ki chahat matlabi hai

    purani chahaton ka bab likhna

    'nawedi' se agar puchhen ghaTaen

    hai zaKHmon se 'saba' shadab likhna

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now