Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadiyon se zamane ka ye andaz raha hai

Jamill Murassapuri

sadiyon se zamane ka ye andaz raha hai

Jamill Murassapuri

MORE BYJamill Murassapuri

    sadiyoñ se zamāne ye andāz rahā hai

    saaya bhī judā ho gayā jab vaqt paḌā hai

    bhūle se kisī aur rasta nahīñ chhūte

    apnī to har ik shaḳhs se raftār judā hai

    us rind-e-balā-nosh ko siine se lagā lo

    mai-ḳhāne zāhid se patā pūchh rahā hai

    mañjdhār se Takrā.e haiñ himmat nahīñ haare

    TuuTī huī patvār pe ye zo'm rahā hai

    ghar apnā kisī aur nazroñ se na dekho

    har tarah se ujḌā hai magar phir bhī sajā hai

    mai-kash kisī tafrīq ke qaa.il nahīñ haiñ

    vaa.iz ke liye bhī dar-e-mai-ḳhāna khulā hai

    ye daur bhī kyā daur hai is daur meñ yaaro

    sach bolne vāloñ anjām burā hai

    sadiyon se zamane ka ye andaz raha hai

    saya bhi juda ho gaya jab waqt paDa hai

    bhule se kisi aur ka rasta nahin chhute

    apni to har ek shaKHs se raftar juda hai

    us rind-e-bala-nosh ko sine se laga lo

    mai-KHane ka zahid se pata puchh raha hai

    manjdhaar se Takrae hain himmat nahin haare

    TuTi hui patwar pe ye zo'm raha hai

    ghar apna kisi aur ki nazron se na dekho

    har tarah se ujDa hai magar phir bhi saja hai

    mai-kash kisi tafriq ke qail hi nahin hain

    waiz ke liye bhi dar-e-mai-KHana khula hai

    ye daur bhi kya daur hai is daur mein yaro

    sach bolne walon ka hi anjam bura hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now