Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sadr-e-ali-maqam hone se

Shariq Kaifi

sadr-e-ali-maqam hone se

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    sadr-e-ālī-maqām hone se

    rah ga.e apne kaam hone se

    ek pahchān thī so vo bhī ga.ī

    bevafā.ī ke 'aam hone se

    aa ga.ī chaal meñ akaḌ merī

    jeb meñ puure daam hone se

    nukta-chīnoñ ke lab sile rahe

    aap intizām hone se

    vaqt se pahle ho ga.e būḌhe

    is qadar ehtirām hone se

    apnī ḳhidmat lagī mujhe behtar

    dūsroñ ġhulām hone se

    ro to letā thā pahle qismat ko

    kaam bigḌā hai kaam hone se

    sadr-e-ali-maqam hone se

    rah gae apne kaam hone se

    ek pahchan thi so wo bhi gai

    bewafai ke 'am hone se

    aa gai chaal mein akaD meri

    jeb mein pure dam hone se

    nukta-chinon ke lab sile hi rahe

    aap ka intizam hone se

    waqt se pahle ho gae buDhe

    is qadar ehtiram hone se

    apni KHidmat lagi mujhe behtar

    dusron ka ghulam hone se

    ro to leta tha pahle qismat ko

    kaam bigDa hai kaam hone se

    Source:

    Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 96)

    • Author: Shariq Kaifi
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now