Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar guman hai rasta KHayal hai

Shumaila Bahzad

safar guman hai rasta KHayal hai

Shumaila Bahzad

MORE BYShumaila Bahzad

    safar gumāñ hai rāsta ḳhayāl hai

    chaloge mere saath kyā ḳhayāl hai

    agar jahān-e-ḳhush-numā fareb hai

    to sab fareb hai ḳhudā ḳhayāl hai

    nazar ko aks jaan lalak hai aur

    ġhazab ye hai ki aa.ina ḳhayāl hai

    kisī nazar raushnī se munsalik

    ye taaq meñ dharā diyā ḳhayāl hai

    kabhī yahāñ vahāñ bhaTak ke rah gayā

    kabhī ḳhayāl se milā ḳhayāl hai

    mujhe bhī ab nahīñ hai is aarzū

    use bhī ab kahāñ mirā ḳhayāl hai

    dhuāñ havā meñ uḌ gayā 'shumā.ila'

    suḳhan tirā bujhā huā ḳhayāl hai

    safar guman hai rasta KHayal hai

    chaloge mere sath kya KHayal hai

    agar jahan-e-KHush-numa fareb hai

    to sab fareb hai KHuda KHayal hai

    nazar ko aks jaan ki lalak hai aur

    ghazab ye hai ki aaina KHayal hai

    kisi nazar ki raushni se munsalik

    ye taq mein dhara diya KHayal hai

    kabhi yahan wahan bhaTak ke rah gaya

    kabhi KHayal se mila KHayal hai

    mujhe bhi ab nahin hai is ki aarzu

    use bhi ab kahan mera KHayal hai

    dhuan hawa mein uD gaya 'shumaila'

    suKHan tera bujha hua KHayal hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now