Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar hai umr-bhar ka sath mein saman kya karte

Nafis Parvez

safar hai umr-bhar ka sath mein saman kya karte

Nafis Parvez

MORE BYNafis Parvez

    safar hai 'umr-bhar saath meñ sāmān kyā karte

    jo mil jaate hameñ bhagvān to insān kyā karte

    safar meñ Thokareñ khā kar haTā.e sang rāhoñ se

    ab is se aur behtar rāste āsān kyā karte

    dabe haiñ jo abhī dil meñ vahī armān haiñ dil ke

    jo nikle haiñ mire armān vo armān kyā karte

    Dubonā thā gar un ko safīna 'ishq mere

    to ik qatra kaafī thā bhalā tūfān kyā karte

    tire qadmoñ aahaT se tujhe ham jaan lete haiñ

    batā ai zindagī ab aur ham pahchān kyā karte

    safar hai 'umr-bhar ka sath mein saman kya karte

    jo mil jate hamein bhagwan to insan kya karte

    safar mein Thokaren kha kar haTae sang rahon se

    ab is se aur behtar raste aasan kya karte

    dabe hain jo abhi dil mein wahi arman hain dil ke

    jo nikle hain mere arman wo arman kya karte

    Dubona hi tha gar un ko safina 'ishq ka mere

    to ek qatra hi kafi tha bhala tufan kya karte

    tere qadmon ki aahaT se tujhe hum jaan lete hain

    bata ai zindagi ab aur hum pahchan kya karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now