safar ishq ka muKHtasar lag raha hai
safar 'ishq kā muḳhtasar lag rahā hai
kahā bhī thā maiñ ne ki Dar lag rahā hai
mirī jaañ yaqīñ kar judā.ī meñ terī
ye har ek din saal bhar lag rahā hai
sivā.e mohabbat vahāñ sab milegā
mujhe chhoḌ kar tū jidhar lag rahā hai
vo tanhā.ī meñ sochtā hogā mujh ko
nahīñ hogā aisā magar lag rahā hai
phir ik din kahā baat karte hī kyoñ ho
mirī baat se tiir gar lag rahā hai
safar 'ishq ka muKHtasar lag raha hai
kaha bhi tha main ne ki Dar lag raha hai
meri jaan yaqin kar judai mein teri
ye har ek din sal bhar lag raha hai
siwae mohabbat wahan sab milega
mujhe chhoD kar tu jidhar lag raha hai
wo tanhai mein sochta hoga mujh ko
nahin hoga aisa magar lag raha hai
phir ek din kaha baat karte hi kyon ho
meri baat se tir gar lag raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.