Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar jab dhup ka ho to shajar hi kaam aata hai

Shahabuddin Saqib

safar jab dhup ka ho to shajar hi kaam aata hai

Shahabuddin Saqib

MORE BYShahabuddin Saqib

    safar jab dhuup ho to shajar kaam aatā hai

    magar barsāt aatī hai to ghar kaam aatā hai

    nahīñ laatā hai dīvānoñ ko ḳhātir meñ koī lekin

    zarūrat par to dīvānoñ sar kaam aatā hai

    ḳhas-o-ḳhāshāk ke hote hue bhī kuchh nahīñ hotā

    harārat talab ho to sharar kaam aatā hai

    kahāñ har dam fazā vus.ateñ bhī kaam aatī haiñ

    thake haare parindoñ ko shajar kaam aatā hai

    hamesha dūsroñ mashvara kaafī nahīñ hotā

    yahāñ insān husn-e-nazar kaam aatā hai

    safar jab dhup ka ho to shajar hi kaam aata hai

    magar barsat aati hai to ghar hi kaam aata hai

    nahin lata hai diwanon ko KHatir mein koi lekin

    zarurat par to diwanon ka sar hi kaam aata hai

    KHas-o-KHashak ke hote hue bhi kuchh nahin hota

    hararat ki talab ho to sharar hi kaam aata hai

    kahan har dam faza ki wusaten bhi kaam aati hain

    thake haare parindon ko shajar hi kaam aata hai

    hamesha dusron ka mashwara kafi nahin hota

    yahan insan ka husn-e-nazar hi kaam aata hai

    Source:

    Shahr Mere Khwab Ka (Pg. 61)

    • Author: Shahabuddin Saqib
      • Publisher: Shahabuddin Saqib
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now