Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar karun to barabar dikhai deta hai

Arvind Sharma Azaan

safar karun to barabar dikhai deta hai

Arvind Sharma Azaan

MORE BYArvind Sharma Azaan

    safar karūñ to barābar dikhā.ī detā hai

    nazar se duur huā ghar dikhā.ī detā hai

    khulī nigāh se duniyā ko ne dekhā nahīñ

    khulī nigāh se behtar dikhā.ī detā hai

    vo shaḳhs jis ne muhayyā karā.ī chhat mujh ko

    sulagtī dhuup meñ aksar dikhā.ī detā hai

    basā huā hai mire zehn meñ vo misl-e-mahal

    tumheñ jo ghar abhī khanDar dikhā.ī detā hai

    talāsh-e-dost meñ ye mas.ala ajab aaya

    saf-e-adū meñ bhī rahbar dikhā.ī detā hai

    muḳhālifat ho agar dil meñ ho tang-nazar

    to māhtāb bhī patthar dikhā.ī detā hai

    to kyā ye maan luuñ dhokā nazar hai ye 'azān'

    vo sāmne to nahīñ par dikhā.ī detā hai

    safar karun to barabar dikhai deta hai

    nazar se dur hua ghar dikhai deta hai

    khuli nigah se duniya ko tu ne dekha nahin

    khuli nigah se behtar dikhai deta hai

    wo shaKHs jis ne muhayya karai chhat mujh ko

    sulagti dhup mein aksar dikhai deta hai

    basa hua hai mere zehn mein wo misl-e-mahal

    tumhein jo ghar abhi khanDar dikhai deta hai

    talash-e-dost mein ye masala ajab aaya

    saf-e-adu mein bhi rahbar dikhai deta hai

    muKHalifat ho agar dil mein ya ho tang-nazar

    to mahtab bhi patthar dikhai deta hai

    to kya ye man lun dhoka nazar ka hai ye 'azan'

    wo samne to nahin par dikhai deta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now