Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar kaThin hi sahi kya ajab tha sath us ka

Razi Akhtar Shauq

safar kaThin hi sahi kya ajab tha sath us ka

Razi Akhtar Shauq

MORE BYRazi Akhtar Shauq

    safar kaThin sahī kyā ajab thā saath us

    añdherī raat meñ merā diyā thā haath us

    kuchh aisī niiñd se jaagī ki phir na soī vo aañkh

    jalā kiyā yūñhī kājal tamām raat us

    tamām shab vo sitāroñ se guftugū us

    tamām shab vo samundar iltifāt us

    kabhī vo rabt ki āñkhoñ meñ jis tarah kājal

    kabhī bichhaḌ ke vo milnā ġhazal-sifāt us

    duā ke haath jaise diyā sambhālte haiñ

    mohabbatoñ meñ vo uslūb-e-ehtiyāt us

    maiñ apne ghar ke añdheroñ meñ lauT aayā 'shauq'

    pukārtā rahā mujh ko shahr-e-zāt us

    safar kaThin hi sahi kya ajab tha sath us ka

    andheri raat mein mera diya tha hath us ka

    kuchh aisi nind se jagi ki phir na soi wo aankh

    jala kiya yunhi kajal tamam raat us ka

    tamam shab wo sitaron se guftugu us ki

    tamam shab wo samundar sa iltifat us ka

    kabhi wo rabt ki aankhon mein jis tarah kajal

    kabhi bichhaD ke wo milna ghazal-sifat us ka

    dua ke hath hi jaise diya sambhaalte hain

    mohabbaton mein wo uslub-e-ehtiyat us ka

    main apne ghar ke andheron mein lauT aaya 'shauq'

    pukarta hi raha mujh ko shahr-e-zat us ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now