Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar ke bich wo bola ki apne ghar jaun

Sidra Sahar Imran

safar ke bich wo bola ki apne ghar jaun

Sidra Sahar Imran

MORE BYSidra Sahar Imran

    safar ke biich vo bolā ki apne ghar jā.ūñ

    añdherī raat meñ tanhā maiñ ab kidhar jā.ūñ

    mujhe bigāḌ diyā hai mire logoñ ne

    koī ḳhulūs se chāhe to maiñ sañvar jā.ūñ

    mirī judā.ī meñ guzrī hai zindagī kaisī

    ye meñ aa.ī hai is baar pūchh kar jā.ūñ

    batā kufr fatvā lagā.egā mujh par

    ḳhudā maiñ mānūñ tujhe aur phir mukar jā.ūñ

    sabz jhiil ke paanī meñ DhūñDtā rahe

    maiñ chāñd ok meñ bhar luuñ kamāl kar jā.ūñ

    balā ḳhauf thamāyā hai ā.inoñ ne mujhe

    maiñ aks apnā jo dekhūñ to jaise Dar jā.ūñ

    safar ke bich wo bola ki apne ghar jaun

    andheri raat mein tanha main ab kidhar jaun

    mujhe bigaD diya hai mere hi logon ne

    koi KHulus se chahe to main sanwar jaun

    meri judai mein guzri hai zindagi kaisi

    ye ji mein aai hai is bar puchh kar jaun

    bata tu kufr ka fatwa lagaega mujh par

    KHuda main manun tujhe aur phir mukar jaun

    tu sabz jhil ke pani mein DhunDta hi rahe

    main chand ok mein bhar lun kamal kar jaun

    bala ka KHauf thamaya hai aainon ne mujhe

    main aks apna jo dekhun to jaise Dar jaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now