safar ki gard bhi us rah-guzar mein chhoD aaya
safar kī gard bhī us rah-guzar meñ chhoḌ aaya
maiñ apnā saarā asāsa safar meñ chhoḌ aaya
unhīñ ko log banā.eñge sang-e-mīl ik din
jo naqsh-e-pā maiñ tirī rah-guzar meñ chhoḌ aaya
ḳhabar na thī ki yahāñ duur tak daraḳht nahīñ
maiñ apnā sāya-e-ehsās ghar meñ chhoḌ aaya
vo kāmyāb safar hai jo dūsroñ ke liye
charāġh jaltā huā rah-guzar meñ chhoḌ aaya
ye dasht kyā mirī tesha-zanī ko samjhegā
maiñ apnā fan to dayār-e-hunar meñ chhoḌ aaya
maiñ likh rahā thā magar paḌh rahā thā aur koī
kisī kā lafz kisī kī nazar meñ chhoḌ aaya
yahī shu'ūr bahut hai ki ahl-e-fan ke liye
ik imtiyāz to 'aib-o-hunar meñ chhoḌ aaya
bichhaḌ ke mujh se judā.ī kā ranj kyoñ hai tujhe
maiñ apnā 'aks tirī chashm-e-tar meñ chhoḌ aaya
ḳhudā hī paar lagā.egā ab use 'razmī'
ye nāḳhudā to safīna bhañvar meñ chhoḌ aaya
safar ki gard bhi us rah-guzar mein chhoD aaya
main apna sara asasa safar mein chhoD aaya
unhin ko log banaenge sang-e-mil ek din
jo naqsh-e-pa main teri rah-guzar mein chhoD aaya
KHabar na thi ki yahan dur tak daraKHt nahin
main apna saya-e-ehsas ghar mein chhoD aaya
wo kaamyab safar hai jo dusron ke liye
charagh jalta hua rah-guzar mein chhoD aaya
ye dasht kya meri tesha-zani ko samjhega
main apna fan to dayar-e-hunar mein chhoD aaya
main likh raha tha magar paDh raha tha aur koi
kisi ka lafz kisi ki nazar mein chhoD aaya
yahi shu'ur bahut hai ki ahl-e-fan ke liye
ek imtiyaz to 'aib-o-hunar mein chhoD aaya
bichhaD ke mujh se judai ka ranj kyon hai tujhe
main apna 'aks teri chashm-e-tar mein chhoD aaya
KHuda hi par lagaega ab use 'razmi'
ye naKHuda to safina bhanwar mein chhoD aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.