Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar mein faslon ke sath baadban kho diya

Ayub Khawar

safar mein faslon ke sath baadban kho diya

Ayub Khawar

MORE BYAyub Khawar

    safar meñ fāsloñ ke saath bādbān kho diyā

    utar ke pāniyoñ meñ ham ne āsamān kho diyā

    yahī ki in nafas-ġhubār sā.atoñ ke darmiyāñ

    havā ne giit rah-guzar ne sārbān kho diyā

    ye kaun sāvanoñ meñ ḳhvāb dekhtā hai dhuup ke

    ye kis ne e'tibār-e-ġham pas-e-gumān kho diyā

    bas ek harf gudāz us pe qarz thā so vo

    bichhaḌte vaqt ḳhāmushī ke darmiyān kho diyā

    firāq manziloñ ik ġhubār thā ki jis ghaḌī

    charāġh-e-shab ne aur dil ne mehmān kho diyā

    rutoñ meñ ek rut yahāñ shajar bhī kāTne thī

    pata chalā jab apne ghar pāsbān kho diyā

    bachā liyā thā ḳhvāb jo masāfatoñ dhuup se

    vo abr-o-bād manzaroñ ke darmiyān kho diyā

    vo niiñd apne bachpane raah meñ ujaḌ ga.ī

    us aañkh ne bhī mojazoñ ik jahān kho diyā

    safar mein faslon ke sath baadban kho diya

    utar ke paniyon mein hum ne aasaman kho diya

    yahi ki in nafas-ghubar saaton ke darmiyan

    hawa ne git rah-guzar ne sarban kho diya

    ye kaun sawanon mein KHwab dekhta hai dhup ke

    ye kis ne e'tibar-e-gham pas-e-guman kho diya

    bas ek harf ka gudaz us pe qarz tha so wo

    bichhaDte waqt KHamushi ke darmiyan kho diya

    firaq manzilon ka ek ghubar tha ki jis ghaDi

    charagh-e-shab ne aur dil ne mehman kho diya

    ruton mein ek rut yahan shajar bhi kaTne ki thi

    pata chala jab apne ghar ka pasban kho diya

    bacha liya tha KHwab jo masafaton ki dhup se

    wo abr-o-baad manzaron ke darmiyan kho diya

    wo nind apne bachpane ki rah mein ujaD gai

    us aankh ne bhi mojazon ka ek jahan kho diya

    Source:

    meyaar (Pg. 301)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now